kamal-e-zabt ko khud bhi to azamaon gi.
Min apne hath se us ki dulhan sajaon gi.
Supurd kar k use chandni k hathon.
Min apne ghar k andheron ko laut aon gi.
Badan k karb ko wo bhi samajh na pae ga.
Min dil min roon gi ankhon min muskuraon gi.
Wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye.
Min kis se rooth sakon gi kise manaon gi.
Wo ik rishta-e-benam bhi nhi lekin.
Min ab bhi us k isharon pe sar jhukaon gi.
Bichha diya tha gulabon k sath apna wajud.
Wo so k uthe to Khwabon ki rakh uthaon gi.
Ab us ka fan to kisi or se mansub hoa.
Min kis ki nazm akele min gungunaon gi.
Jawaz Dhoond raha tha nayi muhabt ka.
Wo keh raha tha k min us ko bhul jaon gi.
0 Comments