apni ruswai tere nam ka charcha dekhun


apni ruswai tere nam ka charcha dekhun 
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun 

nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun 
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun 

sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri 
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun 

sab ziden us ki main puri karun har bat sunun 
ek bache ki tarah se use hansta dekhun 

mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah 
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun 

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib 
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun 

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar 
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun 

tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat 
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

Post a Comment

0 Comments