kaash tujh ko dil say bhulla sakon

kaash tujh ko dil say bhulla sakon
tere yadein dil say mitta sakon
kaash tujh ko .......
tufaan hey aur bari duur kinara
zakhmon say chuur apna badan sara
apni kashti paar na laga sakon
kaash tujh ko .....
shaam kaisa phir ye gum ley aaye
maar dalegi mujh ko ye tanhayee
na janay aaj ye raat bitta sakon
kaash tujh ko ......
chor ker mujh ko gaye hain jub say
jaag raha hon soya nahi tub say
so jaon tu khuwabon main la sakon
kaash tujh ko dil say bhulla sakon
teri yadein dil say mitta sakon
kaash tujh ko ..............

Post a Comment

0 Comments