Tanhayi Bich Gayi Thi Raaston Ke Bich

Tanhayi Bich Gayi Thi Raaston Ke Bich,
Ek Shakhs Kho Gaya Tha Kaaflon Ke Bich,

Wo Aakhri Wisl Tha Aur Shaam Thi Udaas,
Phir Chand Chhup Gaya Tha Badlon Ke Bich,

Aahat Bhi Ghar Mein Hoti Rahi Aur Wo Door Tha,
Koi Chhupa Hua Tha Shayad Meri Dhadkano Ke Bich,

Sochti Hoon Duwaon Ko Khwabon Ko Kya Karein,
Bichhde Hue Agar Mile Ho Mehfilon Ke Bich,

Aankhon Mein Jal Uthe Kayi Jugnoo Shab-E-Firaq,
Aur Chehre Chhup Gaye The Inhi Jugnouon Ke Bich,

Hum Tum Ana Parast The Zinda Hi Mar Gaye,
Kiska Kasor Tha Na Khula Faislon Ke Bich,

Aao Yahin Par Khatam Karein Sab Maamle,
Chhota Sa Ek Gurez Hai Ab Chahaton Ke Bich...


Post a Comment

0 Comments