wo baat baat mein itna badlta jata hy

wo baat baat mein itna badlta jata hy
ky jis trhaN koi wada badlta jata hy

Ye arzo thi ky ham us ky sath sath chaleiN
mgr wo shakhs to rasta badlta jata hy

jo teiz dhop mein sar pr raha wohi anchal
hawa chali hy to kitna badlta jata hy

ruteiN visal ki ab khawab honeiy wali hein
ky us ki baat ka lehja badlta jata hy

wo baat kr jisy duniya bhi mo`atber samjhy
tujhy khabar zamana badlta jata hy

ye arzo thi ky ham us ky sath sath chalein
magr wo shakhs to rasta badlta jata hy

Post a Comment

0 Comments