ik na ik shamaa andherey mein jalaaye rakhiye
subah honey ko hai maahool banaaye rakhiye
jin key haathoN sey hamein zaKhm-e-nihaN pohNchey hain
wo bhi kehtey hain key zaKhmoN ko chupaye rakhiye
koon jaaney key wo kis raah-guzar sey guzrey
har guzar-gaah ko phooloN sey sajaye rakhiye
daaman-e-yaar ki zeenat na baney har aansoo
appni palkoN key liye kuch to bachaye rakhiye

0 Comments