Aakhri Chand Din December ke

Aakhri Chand Din December ke
Har Baras Hi Garaan Guzartay Hain
Khuwahishoon k Nigar Khanay Se
Kaisy Kaisy Gumaan Guzartay Hain
Raftigaan k Bikhray Sayoo Ki
Ik Mehfil Si Dil Mein Sajti Hay
Phone Ki Diary k Safhoon Se
Kitny Number Pukarty Hain Mujhy
Jin Se Marboot Be-Nawa Ghantii
Ab Faqat Mere Dil Mein Bajti Hay
Kis Qadar Pyary Pyary Namoon Par
Reengti Bad-Numa Lakeerein Si
Meri Aankhon Mein Phail Jati Hain
Dheeyan Ki Seerhiyon Pay Kaya Kaya Aks
Dard Ki Mash'alain Jalaati Hain
Naam Jo Kat Gaye Hain
Un k Harf
Aisy Kaghaz Par Phail Jatay Hain
Hadsay k Muqam Par Jaisy
Khoon k Sookhay Nishanoon Par
Chaak Se Liney Lagaty Hain


Phir December K Aakhri Din Hain
Har Baras Ki Tarah Ab k bhi
Diary Ik Sawal Karti Hay

Kya Khabar Iss Baras K Akhir Tak
Mere In Be-Charagh Safhoon Se
Kitnay Number Bikhar Kar Rastoon Mein
Gard Mazi Se Att Gaye Hon Ge
Khaak k Dhairoon k Daman Mein
Kitnay Toofan Simat Gaye Hon Ge


Har December Mein Sochta Hoon
Aik Din Aisa Bhi Hona Hai
Rung Ko Roshni Mein Khona Hay
Apnay Apnay Gharoon Mein Rakhi Hoyi
Diary Dost Dekhty Hon Ge
Un Ki Aankhoon k Khaak-Danoo Mein
Ek Sehra Sa Phailta Hoga
Aur Kuch Be Nishan Safhoon Se
Naam Mera bhi Katt Gaya Ho Ga…!!!

Post a Comment

1 Comments