Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai


Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai
Bichharnay wala shreek-e-safar to ab bhi hai

Hzaar waqt ne deewar-e-hijr utha di magar
Khyal-e-yar mera hum safar to ab bhi hai

Magar yeh kaon badalti hui ruton se kahay
Shajar me saiyah nahi, shajar to ab bhi hai

Muhabten hain muatbar agar to phir ik shakhs
Muhabton ki tarha muatbar to ab bhi hai

Zuban breedah sahi, khzaan raseedah sahi
Hara bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi hai

Humari darBadri pe na jaiay k humen
Shaur-e-saiyah deewar-o-dar to ab bhi hai

Post a Comment

0 Comments