Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai


Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai

Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai,
Kabhi rota hai kabhi mujh ko rulaa deta hai,

Kaun aata hai meri ankhon mein jugnu le ker,
Khawhishain kaun mere dil mein jaga deta hai,

Pehle karta hai bare naaz se be-barg o samar,
Phir meri rooh mein phool woh khilaa deta hai,

Woh mera chand meri ankhon se aujhal ho kar,
Ik sitara meri palkon pe sajaa deta hai,

Us ki har roz ki mulaqat se dar lagta hai,
Roz milta hai to ik zakham neya deta hai,

Apni qurbat mein bhi rakhta hai woh furqat ki fizaa,
Mera apna hi to hai mujh ko sazaa deta hai,

Aatish-e-gham se mere dil ko jalaata hai Nadeem,
Woh ajab shakhs hai sholay ko hawaa deta hai…

Post a Comment

0 Comments