ik barg sabz shaakh say kar k juda bhi daikh


ik barg sabz shaakh say kar k juda bhi daikh
mai phir bhi ji rahi hoo'n mera hausla bhi daikh

mana k tera mujhsay koi wastaa nahee'n
milnay k baad mujhsay zara aaina bhi daikh

auro'n k paas ja k meri daasta'n na putchh
jo kutch hai meray chehray pe likha huwa bhi daikh

tunay jo musht e khaak samajh kar urdha diya
ab mujhko apni raah mai bikhra huwa bhi daikh

Post a Comment

0 Comments