Ay muhabat tari qismat ka tujay mufat milay


Ay muhabat tari qismat ka tujay mufat milay 
Ham say dana jo kamalat kia kartay thay 
Kushk mati ko be amaraat kia kartay thay 
Ay muhabat! yay tara bakhat ka bin mole milay 
Ham say anmool jo hiroo may tula kartay thay 
Ham say mu zore jo bhonchal uta raktay thay 
Ay muhabat mayri! ham tayray mujrim theray 
Ham jaysay log jo logoo say sawalat kia kartay thay 
Ham jo so batoo ki aik bat kia kartay thay 
Tayri thveel may anay say zara pehlay tak 
Ham bhe is shayhar may azeet say raha kartay thay 
Ham bigartay to kaii kam bana kartay thay 
Or ab tayri shakhawat kay ghanay sayay may 
Khalkat-y- shyhar ko ham zinda tamasha tehyray 
Jitnay ilzam thay, maksoom hamara tehyray 
Ay muhabat! zara andaz badal lay apna 
Tuj ko ayinda bhe aushak ka khun pina hay 
Ham to per jayay gay, tuj ko to magar jina hay 

Post a Comment

0 Comments