Ye jo zindagi ki kitab ha
Ye kitab bhi la jawab ha
Kahin Ek haseen sa khuwab ha
Kahin jaan lewa Azaab ha
Kahin kho diya
Kahin pa liya
Kahin ro liya
Kahin gaa liya
Kahin cheen layti ha har khushi
Kahin Meharbaan bey hisab ha
Ye jo zindagi ki kitab ha !
Ye kitab bhi la Jawab ha…..!
0 Comments