tumhe main bhul jana chahta hun


tumhe main bhul jana chahta hun
mai khud ko aazmana chata hun
ab usse raabta mumkin nhn hai
ye dil ko main batana chahta hun
jale parwana shamma ki tapish se
main parwana hun jalna chahta hun
hai kwahish dekh lon ek bar tujho
phir aankhen band karna chahta hun
jo hai seene me tere sang sa dil
mai usko mom karna chahta hun
ye dil tera rahega yaad rakhna
jo namumkin ho karna chahta hun
nhn sahil fikar mujhko jahan ki
banana tujhko apna chahta hun

Post a Comment

0 Comments