Sawan ke suhane mausam mein


Sawan ke suhane mausam mein...
Ik roop ki raani yaad aayi...

Wo bagh ka manzar yaad aaya...
Jhulon ki kahani yaad aayi....!!

Madhosh fazaa, mastaana samaa...
Baadal ka wo jhukna kheton per...
Yunh mast hawa lehraane lagi...
Chunri koi thame yaad aayi.... !!!

Koyal ki manhaarein matwaali...
Moron ke taraane mastaane....
Rim jhim ka wo aalam kya kahiye...
Wo baat puraani yaad aayi... !!!!

Har simt basanti phool khile....
Gulshan mein baharein jab aayi...
Jo saath kisi ke guzri thi...
Wo shaam suhaani yaad aayi... !!!!

Sawan ke suhane mausam mein...
Ik roop ki raani yaad aayi..

Post a Comment

0 Comments