Main is hasar se nikalon to aur kuch sochon


Main is hasar se nikalon to aur kuch sochon
Tumhare piar se nikalon to aur kuch sochon

Teri galii k ilawa bhi aur qarye hain
Jo is diyar se nikalon to aur kuch sochon

Tumhare hijar ki sadiyan tumhare wasal k din
Main is shumar se nikalon to aur kuch sochon

Racha hoa hai tera ishq meri poron me
Main is khamar se nikalon to aur kuch sochon

Ye mera jisam k matam sara-e-hasrat hai
Main is mazar se nikaln to aur kuch sochon

Ye mujh ko kon mere raat din sambhalata hai
Iss ikhteyar se nikalon to aur kuch sochon

Tumhare jisam ki khoshboo ne kar dia masahoor
Iss abshar se nikalon to aur kuch sochon

Ye bekarari meri rooh ka ojala hai
Main iss karar se nikalon to aur kuch sochon

Post a Comment

0 Comments