khuda hum ko aisi khudai na de


khuda hum ko aisi khudai na de
ke apne siwa khuch dikhai na de

khata waar smje ge dunya tuje 
ab atni zayada safai na day 

hanso aj itna ke is shor main
sada siskioun ki sunai na de

ghulami ko barkat smjny lagin
aaseeron ko asi rehai na day

abhi to badan me laho ha bohat 
qalm cheen k roshnai na day 

mujhe apni chadar main youn dahnp le
zameen asman khuch dikhai na de

khuda aise ahsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhai na de

Post a Comment

1 Comments

  1. Very beautiful ghazal of all time i hear on ptv long time ago and wanted to hear again and again.

    ReplyDelete