ik shakus pas reh k bi sumjha nahi mujhy


ik shakus pas reh k bi sumjha nahi mujhy.
iss baat ka malaal hy shikwa nahi mujhy.


men uss ko bewafai ka ilzaam kesy doN,
uss ny to ibtada sy hi chaha nahi mujhy.


pather samujh k paoN sy thokar laga diya,
afsos un ki aankh ny purkha nahi mujhy.


kiya kiya umeedeN bandh kar aey thy saminy,
usny to aankh bhar bhi dekha nai mujhy.


kub therna tha humen hur waqt usky paas,
acha hoa k usny bhi roka nahi mujhy.

Post a Comment

0 Comments