Abhi Is traf na Nigah kr


Abhi Is traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lu,,

Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utar lu ,,

Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,

Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lu ,,

Agar Aasma’n ki Numaishon me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,

To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lu ,,

Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,

Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lu…

Post a Comment

0 Comments