Dil gaya ,tum ne liya, hum kya karen
Jaane wali cheez ka gham kya karen
Bukhsh dena ,pyaar ki ,gustaakhiyan
Dil hi qaboo me nahi,Hum kya karen
Maarqa hai aaj Husn-o Ishq me
Dekhiye wo kya karen,Hum kya karen
Tund Khu hai kab sunay wo dil ki baat
Aur bhi burham ko burham kya karen
0 Comments