ata hai yad mujhko guzara hua zamana


ata hai yad mujhko guzara hua zamana 
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana 


azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki 
apni khushi se ana apni khushi se jana 


lagti ho *** dil par, ata hai yad jis dam 
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana 


wo pyari pyari surat, wo kamini si murat 
abad jis k dam se tha mera ashiyana

Post a Comment

0 Comments