Tumhen jafa se na yun baz aana chahiye tha


Tumhen jafa se na yun baz aana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha
tavil raat ke pehlu mein kab se soi hai
navid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha
bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
ke kon dube kinhen dub jana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hain jo jale hi nahi
savad-e-vaqt inhen jagamagana chahiye tha
ajab na tha ke qafas sath leke ud jate
tadapana chahiye tha phadaphadhana chahiye tha
ye meri har ke kar-e-janan se hara magar
bichadane wale tujhe yaad aana chahiye tha
taman umr ke aasurdagi-e-vasl ke bad
firaq aakhiri dhoka tha khana chahiye tha

Post a Comment

0 Comments