kis-kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya


kis-kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya
gairon ka naam mere lahu se likha gaya
nikala tha main sada-e-jaras ke talash mein
bhule se is sukut ke sehra mein aa gaya

kyon aj us ka zikr mujhe khush na kar saka
kyon aj us ka naam mera dil dukha gaya
is hadase ko sun ke karega yaqin koi
suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya

Post a Comment

0 Comments