Dhoop Ka Safar


Dhoop Ka Safar Chhav Me Thehar Gaya,
Kadam Ke Faasale Rahguzar Se Bichhad Gaya.

Wasl-E-Nazar Hui Ek Kali Se Baad-E-Sahar,
Dopahar Ko Gul Hua Sham Ko Bikhar Gaya.

Rahguzar Ka Marasim Manzil Se Hai Ta Umr Ka,
Gar Manzil Bhi Karwat Le To Musafir Kidhar Gaya.


Meharban Ho Agar Chaman Pe Bahaaran,
Dekhte Hi Dekhte Gul Ki Kismat Sawanr Gaya.

Safar-E-Saman Ab Kyo Halka Hua,
Gethri Jo Kholi,Dekha Umr Guzar Gaya.

Zindagi Dhoop Ki Si Hai Atiq,
Jo Sahar Se Chali Sham Ki Chaukhat Pe Thar Gaya.

Post a Comment

0 Comments