Sata sata ke hamen ashkbar karati hai


Sata sata ke hamen ashkbar karati hai
tumhari yaad bahut beqarar karati hai

wo din jo sath guzri the pyar ke hum ne
talash un ko nazar bar bar karati hai
gila nahi jo nasibon ne kar diya hai juda
teri judai bhi ab hum ko pyar karati hai

kinare baith ke jis ke kiye the qaul-o-qarar
nadi wo ab bhi tera intazar karati hai

Post a Comment

0 Comments