roz taron ki


roz taron ki numaish main khalal parta hai
chaand pagal hai andhery main nikal parta hai...

aik deewana musafir hai meri aankhon main
waqt bay-waqt thehr jata hai chall parta hai..

apni tabeer k chakar main mera jagta khawab
roz suraj ki tarha gher say nikal parta hai...

roz patthar ki himayat main ghazal likhtay hain
roz sheeshon sy koi kaam nikal parta hai..

uski yaad aai hai saanson zara aahista chalo
dharkanon sy bhi ibadat main khalal parta hai

Post a Comment

0 Comments