mere ansuoon pe nazar na kar


mere ansuoon pe nazar na kar
mera shikwa sun ke Khafa na ho

use zindgi ka bhi haq nahi
jise dard-e-ishq mila na ho

ye inayatain ye nawazishain 
mere dard-e-dil ki dawa nahi

mujhe us nazar ki talash hai
jo ada shanas-e-wafa na ho

tujhe kya bataon mai beKhabar
ki hai dard-e-ishq main kya asar 

ye hai wo latif si kaifiya
t jo zuban tak aye ada na ho

ye sharab rez-e-hasi ghata
jo hai "Kaif" nazish-e-maykada

kisi tashna-kam ki arzoo
kisi tashna-lab ki dua na ho ♥

Post a Comment

0 Comments