jis tarah shabnam


jis tarah shabnam
raat k ghup andheray main
anjaani raahon par chal kar
kissi phool ki saij pe sajti hai
bilkul ussi tarah
main bhi deis, deis ka pardesi
teray naam ki surkhi ban-na chaahon
yeh jantay huwaye bhi
k subah hotay hi
yeh shaffaaf mootiyun ka shehar
baad e naseem main ghum ho jayega
aur suraj ki pehli kiran se
mom ka shehar pighal jayega,.

Post a Comment

0 Comments