Bheer men chaaron taraf chehrey anjaaney miley


Bheer men chaaron taraf chehrey anjaaney miley
Merey apney aaj mujh sey ban k begaaney miley

Tha bharosa doston par itna keh mujh sey na pooch
Jin k haathon men they pathar log pehchaney miley

Ban k marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko
Jesey jesey waqt beeta zakham puraney miley

Kis k aagay rotay or sunaatey apni dastaan
Basti thi ujri hui sunsaan thikaney miley

Ab na maangen gey Illahi zindagi ki bheekh hum
Ishq men shamma ki yeh kehtey huey parwaney miley

Dil diya tha naaz sey jis jis ney apni jaan ko
Chund tootay dil k tukray unko nazraaney miley

Maazi ki yaad men sab doobay huey thay is qadar
Khawab terey shehar k sab log deewaney miley

Post a Comment

0 Comments