besabab baat barhaane


besabab baat barhaane kii zaruurat kyaa hai 
ham Khafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai 

aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam 
aap jab hain to Thikaane kii zaruurat kyaa hai 

teraa kuuchaa, teraa dar, terii galii kaafii hai 
beThikaano ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai 

dil se milane kii tamannaa hii nahiin jab dil mein 
haath se haath milaane kii zaruurat kyaa hai 

rang aankhon ke liye buu hai damaagon ke liye 
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa ha

Post a Comment

0 Comments