aey subh! main ab kahan raha hun



aey subh! main ab kahan raha hun...
khuaabon main hi sarf ho chuka hun...

kia hai jo badal gai hai dunia...
main bhi to bohat badal gaya hun...

main jurm ka aitraaf kar k...
kuch aur hai jo chupa gaya hun...

main aur faqat ussi ki khuaahish...
ikhlaaq main jhoot bolta hun...

roya hun to apney doston main...
par tujh sey to hans k hi mila hun...

aey shakhs! main tairi justujoo sey...
baizaar nahi hun, thak gaya hun...

Post a Comment

0 Comments