yom-e-azaadi mananay ka ab armaan naheen


yom-e-azaadi mananay ka ab armaan naheen
kyonkay yeh qaid-e-azam ka pakistan naheen

qaid nai mulk banaya tha ghareebon kai liyain
magar ghareeb ka jeena yahan assaan naheen

shehr jaltay rahay yeh bansri bajatay rahay
in shehanshah'on mai shayad koee insaan naheen

tujhay bachanay ko marna para tu haazir hain
yeh sacha ishq hai shah ka farmaan naheen

gali gali mai faqat khoun aur khounee manzar
janazay roz uthaana koee assaan naheen

vatan ki izat ki mil jhul kai duaain mangain
humara farz hai uss par koee ehsaan naheen

Post a Comment

0 Comments