shor hai har taraf sahab sahab


shor hai har taraf sahab sahab
saqia saqia sharab sharab
rind bakshay gaey qiamat mein
sheik kahta raha hisaab hissaab
phir wohi mast bakhabar nikla
jis ko kahtay thai sab karab karab
mujh se wajhaey gunah jab poche
sar juka ke kaha mein ne shabab shabab
jam girnay laga to bhaga sheik
thamna thamna kitaab kitaab
kab wo aata hai samnay kashfe
jis ke har ek ada hijaab hijaab

Post a Comment

0 Comments