rog aesy bhi


rog aesy bhi gum-e-yaar se lug jaaty hen.
dar se othty hen to deewar se lug jaaty hen.


ishq agaaz main hulki si khalish rukhta hy,
baad main senkiron aazar se lug jaaty hen.


pehly pehly hawus ik aadhi dokaan khoti hy,
phir to bazaar ke bazaar se lug jaaty hen.


bebasi bhi kabhi furqat ka sabub bunti he?
ro na paen to galey yaar se lug jaaty hen.


daag daamun ka ho dil ka ho ya chehry ka faraz,
kuch nishaan umr ki ruftaar se lug jaaty hen.

Post a Comment

0 Comments