Khwabon mai tum, jab bhi aate ho
Hanste-hanste fir kyon chale jate ho
Mai puchhta hoon tumse, kya kami hai mujhme
Dilbar jo iss tarah mujhe satate ho
Sanam, dil ka kya dhundhta hai dar-badar
Tum to ujalon mai kahi najar na aate ho
Milne ki koshish to karo khulush-e-yar
Hansa kar fir iss tarah kyon mujhe rulate ho
Roj-b-roj naye-naye rup khwabon mai
Dekar tadap aur kashish badha jate ho
Kyon wo iss tarah tumko karte hain ‘sono’
Wo khud jagte hain aur tumhe jagate hain.

Post a Comment

0 Comments