Janay walun se pyar mat karna


Janay walun se pyar mat karna
ab mera intezar mat karna
mudatoon baad muskuraya hun
ab mujhe soogawar mat karna
jo bazahir dehayi de khamosh
aisay darya ko paar mat karna
meri janib nikalnay wala koi
rasta ab ihtiyar mat karna
beyaqeeni mein mubtala hun main
ab mera aitbaar mat karna

Post a Comment

0 Comments