Dil jab aa jaye


Ay jazba-e-dil gar mein Chahaon har chez muqabil aa jaye..
Manzil k liye dou gaam chalon aur samnay manzil aa jaye..

Kashtii ko KHUDA par chor bhi daay,Kashtii ka KHUDA Khud haafiz hai..
Mushkil tou nahin in maujoN mein behtaa hua saahil aa jaye..

Ay dil ki lagii chal yun hi sahii, chalataa tou hun unkii mehfil mein..
Uss waqt mujhe chaunkaa dainaa jab rang pe mehfil aa jaaye..

Ay Rahbar-e-kaamil chalane ko tayar to hun par yaad rahay..
Us waqt mujhe bhatka dainaa jab samnay manzil aa jaye..

Haan yaad mujhe tum kar lainaa awaz mujhe tum de laina..
Iss rah-e-muhabbat mein koii darpaish jo mushkil aa jaye..

Ab kyion Dhondo.N Wo chashm-e-karam hone de sitam bala-e-sitam
Mein Chahta hun Ay jazbaa-e-Ghum mushkil pas-e-mushkil aa jaye..

Iss jazba-e-dil k baray mein ek mashwara tum se laita hun..
Uss waqt mujhe kia lazim hai jab tujh pe mera dil aa jaye..

Iss ishq mein jaan ko khona hai,Matam karna,Rouna hai..
Mein janta hun jo hona hai,Par kia karon Dil jab aa jaye.

Post a Comment

0 Comments