Dena hy to nigah ko aisi rasaayi de


Dena hy to nigah ko aisi rasaayi de
MeiN dekhuN aayna to mujhay tu dikhayi de

Kash aisa taalmail sukut o sadaa me ho
Usko pukarouN meiN to usi ko sunaayi de

Ay kash us mukam pe pahuncha de uska piyar
Voh kaamyaab honay pe mujhko badhayi de

Mujreem hy soch-soch,gunahgaar saaNs-saaNs
Koi safaayi de to kahaN tak safaayi de

Her aanay jaanay walay se bataiN tairi sunouN
Ye bhik hy bahut mujhay dar ki gadaayi de

Ya de bata ke kiya hy maira maqsad e hayaat
Ya zindagi ki qaid se mujhko rehaayi de

Kuch ahtraam apnee a'na ka bhi Noor ker
YouN baat baat per na kisi ki duhayi de

Post a Comment

0 Comments