aik dolatt jisey na bantain hum


aik dolatt jisey na bantain hum 
dard ho aur sirf apna ho 

dhoop apney wajood sey phailey 
chaaon deney ko apna saya ho 

dushmani ho to zaat sey apni 
apni hi zaat pai bharosa ho 

uski aankhon main raat utrey jab 
sirf maira charraagh jalta ho 

koi gohar shannaas ho aisa 
gehrey paani sey jo na darta ho 

gharr k aangan main ik darwaza 
sirf bahar ki simt khulta ho 

wo bhi mairi tallash main nikley 
aur mairi tarraah akaila ho

Post a Comment

0 Comments