Mare hasrat k jnazy ko uthany waly


Mare hasrat k jnazy ko uthany waly
Kitny be-dard hain yah loog zamany waly

Koi apna nheen matlab ki hy duniya sari
ab khan milty hain woh yarr purany waly

main dua go hon sada neendain hon mubarak tujko
Hijr ka dard mujhy dy k jgany waly

Un k seenon main kbhi jhank k dakho to sahi
Kitny afsorda hain oroon ko hansany waly

Post a Comment

0 Comments