Ishq ka dushman ye sara zamana na tha


Ishq ka dushman ye sara zamana na tha,
Jise chaha hamne usne apna jana na tha,
Mehfil mein jakar karte bhi to kya karte,
Jab dard ye kisi ko sunana bhi na tha,
Hasrat to bahut thi zindagi se hamko,
Kya karte jeene ka koi bahana na tha.
Aankhein khuli kabr mein raah dekhti rahi,
Tum na aaye aur tumhe aana bhi na tha.
Ek maikada hi tha hamare dard ka rahbar,
Duniya mein apna koi thikhana bhi na tha.
Ab kyun rote ho meri kabr pe aakar,
Jaise ki maut ko Aadin kabhi aana na tha..

Post a Comment

0 Comments