Is raat ki tanhaiiyon ke


Is raat ki tanhaiiyon ke,
Sab rang badal gaye hain.
Chaand nikla hai waise hi,
Andhere badal gaye hain.

Jinke bharose thi khusiyaan,
Wo baadal thehar gaye hain.
Manzilen to ab bhi wo hi hain,
Kuchh raaste badal gaye hain.

Jinpe kiya tha bharosa hamne,
Wo dost bichhad gaye hain.
Dekhe the kabhi jo hamne,
Wo khwaab badal gaye hain.

Jo bane the kabhi humsafar,
Aaj wo hi mukar gaye hain.
Is tute hue dil ke saare,
Zazbaat badal gaye hain.....

Post a Comment

0 Comments