Woh aadmi hai aam sa


Woh aadmi hai aam sa, 
Ik qissa na taman sa, 
Na lehja bemisal hai, 
Na bat main kamal hai, 
Hai dekhne main aam sa. 
Udasiyon ki sham sa, 
Ke jese aik raaz hai, 
Khud se be-niaz hai, 
Na meh-jabenon se rabt hai, 
Na shohraton ka khabt hai, 
Woh Ranjha, na Qais hai, 
Insha, na Faiz hai, 
Woh pekar-e-ikhlas hai, 
Wafa dua or aas hai, 
Woh shakhs khud shanas hai, 
Tum hi karo ab faisla, 
Woh aadmi hai aam sa.! 
Ya phir bohot hi khaas hai..

Post a Comment

0 Comments