tumhaare Khat mein nayaa ik salaam kis kaa thaa


tumhaare Khat mein nayaa ik salaam kis kaa thaa 
na thaa raqiib to aaKhir vo naam kis kaa thaa 


vo qatl kar ke har kisii se puuchhate hain 
ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa 

vafaa karenge nibhaayenge baat maanenge 
tumhen bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa 


rahaa na dil mein vo be-dard aur dard rahaa 
muqiim kaun huaa hai maqaam kis kaa thaa 


na puuchh-paachh thii kisii kii na aav-bhagat 
tumhaarii bazm mein kal ehatamaam kis kaa thaa 

hamaare Khat ke to purze kiye parrhaa bhii nahiin 
suna jo tum ne baa-dil vo payaam kis kaa thaa 

inhiin sifaat se hotaa hai aadamii mashahuur 
jo lutf aap hii karte to naam kis kaa thaa 

guzar gayaa vo zamaanaa kahen to kis se kahen 
Khayaal mere dil ko subah-o-shaam kis kaa thaa

Post a Comment

0 Comments