junooN


Gul hua, gulshan hua, sehra hua
Har jagha maira junooN ruswa hua

Ghairat-e-ahl-e-chaman ko kya hua
Chhoa.D aayey aashiyaaN jalta hua

Yeh imaarat to ibaadat gaah hai
Is jagha ek mai-kada tha kya hua?

Husn ka chehra bhi hai utra hua
Aaj apnay Gham ka andaaza hua

Post a Comment

0 Comments