Talaash bool rahi ha, nahi mila ab tak


Talaash bool rahi ha, nahi mila ab tak
jaha'n pukaar raha ha, Khuda Khuda ab tak

har aik dard ko aadat bana liya dil ne
bus aik hjr ka, aadi nahi huwa ab tak

dimaagh aur thikano'n me'n ja basa kab se
mgr ye dil k, mohabbat me'n hi raha ab tak

sakoot chaar taraf ha, magar sakoon kaha'n
dilo'n me'n ghol rahi ha, koi sada ab tak

ye poochti ha bashar se, faluk ki khamoshi
tu kis k naam pe sehta raha saza ab tak

mera nahi to wo phr, kis ka khuab tha 
jo meri aankh ko deta raha sada ab tak

Post a Comment

0 Comments