kabhi moam ban kay pighal gaya


kabhi moam ban kay pighal gaya
kabhi girtey girtey sambhal gaya
wo ban kay lamha guraiz ka
mere paas se nikal gaya
usey rokta bhi to kis tarhan
kay wo shaks itna ajeeb tha
kabhi tarap utha meri aah se
kabhi ashk na pighal saka
sar.e.rah mila wo agar kabhi
to nazar chura kay guzar gaya
wo utar gaya meri ankh se
nere dil se kyun na utar saka
wo chala gaya jahan chor kar
main wahan se phir na palat saka
wo sambhal gaya tha magar
main bikhar kay phir na simat saka

Post a Comment

1 Comments