Hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab kii tarah


Hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab kii tarah 
Agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi 
Keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo 
Zara sii dair ko chamkay chamak kay khoo jaye 
Phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day 
Na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day 

Hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar 
Agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hog 
Keh jaisay taiz hawaon kii zad main naqsh-e-qadam 
Zara sii dair k ubhray ubhar kay mit jaaye 
Phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay 
Had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay 

Hamarii simt na dekho keh koii dair main hum 
Qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain 
Basay basaaye howay shehar apnii ankhon kay 
Misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain 
Hawa kaa shor yehii hai tou dekhtay rehnaa 
Hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain

Post a Comment

0 Comments