Mujhse mansoob hy ghubar mera

Mujhse mansoob hy ghubar mera
Qafly me na kr shumar mera

Hr nai sham meri ujrat hy
Din bitana hy rozgar mera

Ye teri jagti hoi ankhain
In pe hr khwab ho nisar mera

Koi aata nahi idhr phr b
Dhyan jata hy bar bar mera

Raat k sath sath barhta gya
In chiraghon pe aitbar mera

Waqt itna kahan tha waqt k paas
Wrna krta wo intezar mera

Neend pr meri dastaras Kashif
or na khwabon pe ikhtiyar mera

Post a Comment

0 Comments