Kis kadar zulm dhaya karti ho

Kis kadar zulm dhaya karti ho,
Yeh jo tum bhool jaya karti ho,

Kiska ab haath rakh ke seene par,
Dil ki dhadhkan sunaya karti ho,

Hum jahan chaye peene jaate the,
Kya waha ab bhi aaya karti ho,

Koun hai ab ke jiske chehre par,
Apni palkon ka saaya karti ho,

Kyo mere dil mein rakh nahI deti,
Kis liye gam uthaya karti ho,

Phone par geet jo sunaati thi,
Ab wo kis ko sunaya karti ho,

Aakhiri khat mein usne likha tha,
Tum mujhe yaad aaya karte ho.

Post a Comment

0 Comments