hamesha hi wo kehta tha

hamesha hi wo kehta tha
muhabbat khobsorat hy
isy ab kon pochy
bol k furqat khobsorat hy?

dil-e-shaiyr ko tere samny
kabo me rakh lena
qyamat hy mgr jana
qayamat khobsorat hy

mujhe mayal by izhar-e-muhabat
kr k chup rehna
sharat hy agr to phr
sharat khobsoat hy

barasty ansoun k darmiyan
ruk kr achanak hi
teri ankho k hans parny
ki aadat khobsorat hy

Post a Comment

1 Comments

  1. Suno... Naraaz Ho Hum Se?

    Magar Hum Wo Hain Jin Ko To Manaana b Nahi Aata
    Kisi Ne Aaj Tak Hum Se Muhabbat Jo Nahi Ki Hai

    Muhabbat Kis Tarah Hoti Hai?

    Hamary Shehar k Atraaf Mein To Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
    Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
    Zard Bailoon Se Ladi Theen
    Aur Un Mein Na To Khushboo Thi,
    Na Koi Phool Tum Jaisa
    Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
    Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
    Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se They
    K Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
    To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
    Magar Pat Jharr Ka Wo Mousam
    Suna Hay Tal Chuka Ab To
    Magar Jo Haar Hona Thi
    So Wo To Ho Chukii Hum Ko

    Suno...
    Haaray Hoye Logon Se To Rootha Nahi Kartey...!!!

    ReplyDelete